Tuesday, June 8, 2010


"Hoon Gardish ka me Taara lekin"
"Hoon Gardish ka me Taara lekin, Chamak abhi bhi baaki hai"
"Peeta hu ranjh ke jaam magar"
"Peeta hu ranjh ke jaam magar, Khushiyon se bhari meri saaki hai"

Saturday, June 5, 2010



"Jo baat kahi dil me chupi, Jo baat kahi dil me chupi"


"Vo baat jubaa par he aayi"


"Yaado ki lekar parchaaai, shaam suhaani fir se aayi"


"Shaam suhaani fir se aayi"


"Ki Uthte hi nigaaah unki, Ki Uthte hi nigaaah unki"

"Laga ki jaise Nooor ki Barsaat ho gayi"

"Ye tha sirf karishmaaa unki nigaahon ka"

"Yaa ki jannat ye kaaynaat ho gayi".

Friday, June 4, 2010


" Bujhne lagi he lau tere pyaar ki"

"Doobne lagi he kashti karar ki"...

"beri piyaa ab to aaja, aake dil ko dhadkan deja"

"ki hone lagi he ab to intehaa intezaar ki"....

Wednesday, May 26, 2010



"Lehron ki tarah uth ke gir jana"


"lehron ki tarah uth ke gir jana, mera mukadaar nahi'


"me to dariya hu, behta rahoonga"


"dil ko apne thaame rakhna, ki me dastak deta rahoonga"



"Haal kyaa kahu, dil-e-betaab ka, Haal kyaa kahu dil-e-betaab ka"


"kabhi hu dushman, kabhi hu mein dost apne aap ka"


"peeta to nahi par he rehta intezaar sharab ka'


"khul ke yu hi ho jaata he band har panna jindagi ki kitaab ka"


"nahi rha Ilm(awareness, knowledge), nhi rha Ilm mujhe mere kisi gunaah ka"


"kaash koi dikhla de mujhe, jariyaa neki ki raah ka"


"kehte he log nahi pata ab to, kehte he log nahi pata ab to tere mijaaj(Nature) ka"


"he nadan(innocent) vo ki nahi jaante, he bas ishq hi suku mere ilaaj ka"


"Ye parbat, ye nadiyaan, ye waadiyan, ye fijayaen"

"he lagte saare chote ki jab se mene pankh failaayen"

"raat hogi to sitaaron se puchoonga, raat hogi to sitaaron se puchoonga"

"kahan behta he vo dariya ki jahan roshni mil jaaye"